Rahat-e-nazar Bhi Hai Wo Azab-e-jaan Bhi Hai
rahat-e-nazar bhi hai wo azab-e-jaan bhi hai
us se rabt-e-lazzat bhi aur imtihan bhi hai
fasle miTe bhi hain aur kuchh baDhe bhi hain
ye safar zaruri hai aur raegan bhi hai
umr-bhar ki uljhan de ek pal ka nazzara
tera gham haqiqat bhi aur be-nishan bhi hai
teri miThi baaton mein jhil jhil aankhon mein
aag bhi sulagti hai dard se aman bhi hai
tai karen to hum kaise fasle dil-o-jaan ke
ek ye ana ka pul apne darmiyan bhi hai
lakh main tujhe bhulun lakh tu mujhe bhule
ek rishta-e-benam apne darmiyan bhi hai
ishq-e-dil mein tughyani barf barf honTon par
sar-phiri bhi hai chahat aur be-zaban bhi hai
teri zindagi sargarm meri zindagi uljhan
raqs mein bhi hai KHwahish aur sargiran bhi hai
'sham' jaane kyun hum ne si liya hai honTon ko
warna apne hathon mein waqt ki inan bhi hai
(2151) Peoples Rate This