Kitni Shiddat Se Tujhe Chaha Tha
kitni shiddat se tujhe chaha tha
kabhi kuchh aur nahin socha tha
khoe the aise teri chahat mein
TuT ke abr-e-junun barsa tha
meri har soch mein thi teri hi soch
mera har lamha tera lamha tha
jab bhi paDte the KHayalon ke bhanwar
tera chehra hi ubhar aata tha
un dinon jism ki rag rag mein rawan
KHun kahan KHwahishon ka dariya tha
yaad hai aaj bhi sanson ki mahak
waqt apne liye ruk jata tha
jab chamakta tha badan ka suraj
dhup ban kar main bikhar jata tha
TuT jata tha zamanon ka sukut
dafatan sham ko phone aata tha
rang-e-pairahan-e-ehsas thi tu
main nigah-e-talab-e-tishna tha
tu nasim-e-sahar mausam-e-gul
main ki ek TuTa hua patta tha
reza reza hua qasr-e-pindar
be-tarah zor-e-badan TuTa tha
war di aaj tere dar pe ana
bojh sadiyon se uTha rakkha tha
rahen banhen to dariche aankhen
ye tera shahr bhi tujh jaisa tha
umr-bhar apne hi shoalon mein jala
main ki suraj ki tarah tanha tha
garm hain rang ke bazar yahan
itna sannaTa kahan hota tha
panw niche se zamin bhi nikli
main KHalaon ki taraf lapka tha
subh ki tarah wo be-rang hai ab
'sham' ki tarah jise chaha tha
(2762) Peoples Rate This