Waqt Ke Kitne Hi Rangon Se Guzarna Hai Abhi
waqt ke kitne hi rangon se guzarna hai abhi
zindagi hai to kai tarah se marna hai abhi
kaT gaya din ka dahakta hua sahra bhi to kya
raat ke gahre samundar mein utarna hai abhi
zehn ke reze to phaile hain faza mein har-su
jism ko TuT ke har gam bikharna hai abhi
kaun hai jis ke liye ab bhi dhaDakta hai dil
kis ko is ujDe jazire mein Thaharna hai abhi
ek ek rang uDa le gai be-mehr hua
kitne KHake hain jinhen 'sham'-ji bharna hai abhi
(888) Peoples Rate This