TuTe Hain Kaise KHwahishon Ke Aainon Ko Dekh
TuTe hain kaise KHwahishon ke aainon ko dekh
palkon ki tah mein bikhri hui kirchiyon ko dekh
main hun tera hi aks mere rang par na ja
aankhon mein jhank apni hi tanhaiyon ko dekh
ye aasman ke badle hue rang ghaur kar
in mausamon ke biphre hue tewaron ko dekh
sun to dar-e-KHayal pe farda ki dastaken
KHud ka hisar toD ke jati ruton ko dekh
galiyon mein ghumti hain hazaron kahaniyan
chehron pe naqsh waqt ki pahnaiyon ko dekh
ek ek palak pe chhai hai mahrumiyon ki sham
zabt-e-suKHan ki aag mein jalte labon ko dekh
kahti hai 'sham' kuchh to makanon ki KHamushi
be-muddaa nahin hain khule rauzanon ko dekh
(631) Peoples Rate This