Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f9126c877e0f724562c67d595378bd31, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Ek Sathi Mujhe Akela ChhoD Gaya - Mahmood Shaam Poetry In English - Darsaal

Phir Ek Sathi Mujhe Akela ChhoD Gaya

phir ek sathi mujhe akela chhoD gaya

aap sidhaara apna saya chhoD gaya

us ko kitne peD sadaen dete the

wo to sab ko yunhi bulata chhoD gaya

ab tak maidanon ke jism chamakte hain

jaane kaisi miTTi dariya chhoD gaya

lipaT lipaT kar ek duje se rote hain

jin patton ko hawa ka jhonka chhoD gaya

chandni-shab to jis ko DhunDne aai hai

ye kamra wo shaKHs to kab ka chhoD gaya

chaal thi kitni tez badalte mausam ki

kitne hi lamhon ko sisakta chhoD gaya

sari munDeren viran viran rahti hai

jab se 'sham' nagar tu apna chhoD gaya

(617) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Ek Sathi Mujhe Akela ChhoD Gaya In English By Famous Poet Mahmood Shaam. Phir Ek Sathi Mujhe Akela ChhoD Gaya is written by Mahmood Shaam. Read famous Poem Phir Ek Sathi Mujhe Akela ChhoD Gaya for youth and Student by Mahmood Shaam. Free Download Phir Ek Sathi Mujhe Akela ChhoD Gaya in PDF.