Kitne Dar Wa Hain Kahin Aankh Milaen To Sahi

kitne dar wa hain kahin aankh milaen to sahi

is nae shahr se kuchh rabt baDhaen to sahi

kisi KHushbu ke taaqub mein chalin gam-do-gam

dhyan mein chandni ka shahr basaen to sahi

kuchh to kahti hai sar-e-sham samundar ki hawa

kabhi sahil ki KHunuk ret pe jaen to sahi

kya KHabar oT mein hon us ki manazir kya kya

apne pindar ki diwar giraen to sahi

dil ke auraq pe ab taza hikayat likhen

nae lamhon mein naya KHun rachaen to sahi

apne bikhre hue zarron ko sameTen phir se

bazm phir raqs-e-tamanna ki sajaen to sahi

'sham' ye raushni ye rang ke phaile hue jal

ek zara un ke tilismat mein aaen to sahi

(621) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitne Dar Wa Hain Kahin Aankh Milaen To Sahi In English By Famous Poet Mahmood Shaam. Kitne Dar Wa Hain Kahin Aankh Milaen To Sahi is written by Mahmood Shaam. Read famous Poem Kitne Dar Wa Hain Kahin Aankh Milaen To Sahi for youth and Student by Mahmood Shaam. Free Download Kitne Dar Wa Hain Kahin Aankh Milaen To Sahi in PDF.