Dil Ka Ajib Haal Hai Teri Sada Ke Baad
dil ka ajib haal hai teri sada ke baad
jaise ki aasman ka manzar ghaTa ke baad
kya kya nuqush hum ne ubhaare the ret par
baqi raha na koi bhi wahshi hua ke baad
bikhri hui thin chaar-su phulon ki pattiyan
gulshan sanwar sanwar gaya baad-e-sada ke baad
ab tak faza mein gunjti hai ek naghmagi
sara jahan hi raqs mein hai is sada ke baad
ab tak jala rahi hai hamein tohmaton ki dhup
hum to ujaD ho gae fasl-e-wafa ke baad
yaaden khule kiwaD ye mahki hui faza
kaun aa raha hai sham ye ThanDi hawa ke baad
(675) Peoples Rate This