Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ce02526b6c90afa78aba429e9886d422, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bas Ek Apne Hi Qadmon Ki Chap Sunta Hun - Mahmood Shaam Poetry In English - Darsaal

Bas Ek Apne Hi Qadmon Ki Chap Sunta Hun

bas ek apne hi qadmon ki chap sunta hun

main kaun hun ki bhare shahr mein bhi tanha hun

jahan main jism tha tu ne wahan to sath diya

wahan bhi aa ki jahan main tamam saya hun

wo ek moD bhi is rah pe aaega ki jahan

mila ke hath tu bolega main to chalta hun

teri judai ka gham hai na tere milne ka

main apni aag mein din raat jalta rahta hun

gae wo roz ki tu bais-e-qarar thi jab

teri jhalak se bhi ab to udas hota hun

mere baghair hai mumkin kahan teri takmil

mujhe pukar ki main hi tera kinara hun

kabhi to Dub sahi sham ke samundar mein

ki main sada hi jawahar nikal laya hun

(574) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ek Apne Hi Qadmon Ki Chap Sunta Hun In English By Famous Poet Mahmood Shaam. Bas Ek Apne Hi Qadmon Ki Chap Sunta Hun is written by Mahmood Shaam. Read famous Poem Bas Ek Apne Hi Qadmon Ki Chap Sunta Hun for youth and Student by Mahmood Shaam. Free Download Bas Ek Apne Hi Qadmon Ki Chap Sunta Hun in PDF.