Na Ho Thikana Koi Jis Ka Tere Ghar Ke Siwa
na ho Thikana koi jis ka tere ghar ke siwa
wo uTh ke jae kahan teri rahguzar ke siwa
dil-e-hazin ki tamanna nigah ke matlub
KHuda rakhe wo sabhi kuchh hain chaaragar ke siwa
raza-e-dost tab-o-tab sina-e-dushman
dua ko aur bhi kuchh chahiye asar ke siwa
wo soz-e-dil ki jise log jaan kahte hain
nahin hai aur koi shai teri nazar ke siwa
payam-e-KHanda-e-gul aur nashat-e-subh-e-chaman
saba ke pas hai sab kuchh teri KHabar ke siwa
hai jaan-e-bulbul-e-shaida to chaar tinkon mein
qafas mein kuchh bhi nahin ek musht-e-par ke siwa
mila hai azmat-e-adam ke nam se jo mujhe
wo qarz kis se ada hoga mere sar ke siwa
unhi ko nala-e-bulbul kahen ki KHanda-e-gul
chaman mein kuchh bhi nahin shoala-e-sharar ke siwa
sukun-e-dil ke liye hum kahan kahan na gae
'sarosh' kuchh na mila zahmat-e-safar ke siwa
(476) Peoples Rate This