Lafz Likhna Bhul Jata Hun
mujhe uDte parinde achchhe lagte hain
mujhe un ki uDanon se
nae aate hue sab mausamon ki aahaTen mahsus hoti hain
mujhe un ki uDanen
barishen aur phul khilne ki bashaarat dene aati hain
mujhe un ki uDanen
zindagi ke raston par hauslon ka dars deti hain
mere hathon ne harfon ke gulabon ko
inhi se likhna sikha hai
magar hijrat-zada mausam mein
jab koi akeli kunj kar lati hui
nile falak ki wusaton mein apne khoe sathiyon ko
DhunDhti aawaz deti hai
mujhe bichhDe hue sab yaad aate hain
mere hathon ki poren lafz likhna bhul jati hain
zamin par barishen
aur sard yaKH-basta badan ko chirti barham hawaen
sabz peDon mein ghire aabaad ghar ka rasta roken
main tanha baiTh kar
bhige parindon ke paron ke
KHushk hone ki duaen mangta hun!
(418) Peoples Rate This