Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_764946eaf6d35b381dc651e220d8463e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gulon Se Wasl Ke Paiman Hawa Ne Likkhe The - Mahmood Rahim Poetry In English - Darsaal

Gulon Se Wasl Ke Paiman Hawa Ne Likkhe The

gulon se wasl ke paiman hawa ne likkhe the

nasib-e-shaKH magar taziyane likkhe the

tera visal hi zarKHeziyon ka lamha tha

phir is ke baad to banjar zamane likkhe the

kabhi to paDhta mera shahryar bhi un ko

jo baam-o-dar pe nawishte qaza ne likkhe the

saron se girne lagin jab hamari dastaren

in aandhiyon mein hamein sar bachane likkhe the

tamam umr meri sogwar guzri hai

nasib mere kisi karbala ne likkhe the

main manta hi nahin waizon ka ye maslak

ki is tarah hi mere din KHuda ne likkhe the

(468) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulon Se Wasl Ke Paiman Hawa Ne Likkhe The In English By Famous Poet Mahmood Rahim. Gulon Se Wasl Ke Paiman Hawa Ne Likkhe The is written by Mahmood Rahim. Read famous Poem Gulon Se Wasl Ke Paiman Hawa Ne Likkhe The for youth and Student by Mahmood Rahim. Free Download Gulon Se Wasl Ke Paiman Hawa Ne Likkhe The in PDF.