Sahmi Sahmi Dhuan Dhuan Yaaden
sahmi sahmi dhuan dhuan yaaden
nazar aati nahin hai rah-e-visal
shab ki jeben bhari thin taron se
din bhikari ki tarah hai kangal
shah bachne laga piyaade se
ye mere daen hath ka hai kamal
qahqahon ki tarah uDe panchhi
KHak par loTte paDe hain jal
munh chhupae jawab phirte hain
sar uTha kar khaDe hue hain sawal
(395) Peoples Rate This