KHushbu Ki Tarah Shab Ko Machalta Tha Gul-badan
KHushbu ki tarah shab ko machalta tha gul-badan
bistar se chun raha hun main TuTe hue baTan
KHak-e-shifa ke nam se miTTi ko bech kar
kya mauj kar rahe hain imaman-e-fikr-o-fan
dekhunga main bhi chakh ke zara zahr ka maza
tu apne sath sath mera bhi to kar jatan
warna phir un ko chain se jine na denge log
shorafa ke waste bhi hai lazim kamina-pan
ab jins mein nahin rahi taKHsis rang ki
donon taraf hi siTi bajate hain pairahan
lab par lachak rahi hai lipstick KHulus ki
make-up ke bojh se hai pareshan husn-e-zan
loban ke dhuen mein tasawwuf ke zikr par
paudon ki tarah hilte rahe ahl-e-anjuman
is shan-e-ehtiyat ke qurban jaiye
koshish ye kar rahe hain ki maila na ho kafan
(407) Peoples Rate This