Tera KHayal Agar Juzw-e-zindagi Na Rahe
tera KHayal agar juzw-e-zindagi na rahe
jahan mein mere liye koi dilkashi na rahe
main aa gaya hun wahan tak teri tamanna mein
jahan se koi bhi imkan-e-wapsi na rahe
tu Thik kahta hai ai dost Thik kahta hai
ki hum hi qabil-e-tajdid-e-dosti na rahe
huzur yaad hai maidan-e-hashr ka wada
kahin wahan bhi meri aankh DhunDhti na rahe
mera to KHair azal hi se gham muqaddar hai
teri nigah ki pahchan be-ruKHi na rahe
tu is tarah se lipaT ja charagh ki lau se
ki baad-e-marg yahan teri rakh bhi na rahe
kisi ke hijr ka mausam azab hai 'ghazni'
kabhi kabhi to main kahta hun zindagi na rahe
(548) Peoples Rate This