Jab Aql Ne Kar Dala Jazbaat Se Samjhauta
jab aql ne kar Dala jazbaat se samjhauta
hum kyun na karen apne haalat se samjhauta
jine ke liye aaKHir karna hi paDa mujh ko
din raat ki gardish mein din raat se samjhauta
haalat badalne mein kuchh der nahin lagti
behtar hai abhi kar len haalat se samjhauta
jab us ne jhalak dekhi pasti mein bulandi ki
suraj ne kiya baDh kar zarraat se samjhauta
aasan nahin apni auqat samajh lena
mushkil hai bahut apni auqat se samjhauta
ki yun to mere nafs-e-sarkash ne bahut koshish
TuTa na mere sar ka sajdat se samjhauta
har samt fazaon se barse to lahu barse
ye kis ne kiya chhup kar barsat se samjhauta
jab dil ke taqazon ko KHud aql hi Thukra de
tab ho bhi to kaise ho jazbaat se samjhauta
haalat ne samjhauta ai 'saz' kiya mujh se
main ne na kiya apne haalat se samjhauta
(395) Peoples Rate This