Apne Hi Ghar Mein Yun Hai Mujhe Apne Ghar Ki Qaid

apne hi ghar mein yun hai mujhe apne ghar ki qaid

darkar jaise chhat ko ho diwar-o-dar ki qaid

yun zindagi ke sath rahi umr bhar ki qaid

lazim ho jaise bahr-nazara nazar ki qaid

aazad ho ke apna asar DhunDhti phire

manzur gar nahin hai dua ko asar ki qaid

is dahr ke azal se ye lail-o-nahaar hain

suraj ko din ki chand ko hai raat-bhar ki qaid

aazad hain parind to parwaz ke liye

ye to batao hai ki nahin baal-o-par ki qaid

ai saz kyun na maut ko aawaz dijiye

gar aap ko qubul nahin umr-bhar ki qaid

(441) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hi Ghar Mein Yun Hai Mujhe Apne Ghar Ki Qaid In English By Famous Poet Mahmood Beg Saaz. Apne Hi Ghar Mein Yun Hai Mujhe Apne Ghar Ki Qaid is written by Mahmood Beg Saaz. Read famous Poem Apne Hi Ghar Mein Yun Hai Mujhe Apne Ghar Ki Qaid for youth and Student by Mahmood Beg Saaz. Free Download Apne Hi Ghar Mein Yun Hai Mujhe Apne Ghar Ki Qaid in PDF.