Shab Charagh
bason ka shor dhuan gard dhup ki shiddat
buland o baala imaraat sar-nigun insan
talash-e-rizq mein nikla hua ye jamm-e-ghafir
lapakti bhagti maKHluq ka ye sail-e-rawan
har ek ke sine mein yaadon ki munhadim qabren
har ek apni hi aawaz-e-pa se ru-gardan
ye wo hujum hai jis mein koi falak pe nahin
aur is hujum-e-sar-e-rah se guzarte hue
na jaane kaise tumhaari wafa karam ka KHayal
mere jabin ko kisi dast-e-ashna ki tarah
jo chhu gaya hai to ashkon ke sote phuT paDe
sumum o reg ke sahra mein ek nafas ke liye
chali hai baad-e-tamanna to umr bhar ki thakan
sar-e-mizha simaT aai hai ek aansu mein
ye wo guhar hai jo TuTe to KHak-e-pa mein mile
ye wo guhar hai jo chamke to shab-charagh bane
(406) Peoples Rate This