Yusufi Gar Nahin Mumkin To ZuleKHai Kar
yusufi gar nahin mumkin to zuleKHai kar
un se paida koi taqrib-e-shanasai kar
pahle har gham ki mohabbat mein pazirai kar
chaak phir daman-e-tamkin-o-shakebai kar
ru-ba-ru un ke mera haal sunane wale
apni jaanib se bhi kuchh hashiya-arai kar
na tamanna na teri yaad na gham ho na KHushi
kabhi aisa bhi ata aalam-e-tanhai kar
meri qismat mein hain patthar teri qismat mein hain phul
apni shohrat se na andaza-e-ruswai kar
sab mere haal-e-pareshan ka uDate hain mazaq
ai gham-e-dost meri hausla-afzai kar
(554) Peoples Rate This