Wo Hans Hans Ke Wade Kiye Ja Rahe Hain
wo hans hans ke wade kiye ja rahe hain
fareb-e-tamanna diye ja rahe hain
tera nam le kar jiye ja rahe hain
gunah-e-mohabbat kiye ja rahe hain
mere zaKHm-e-dil ka muqaddar to dekho
nigahon se Tanke diye ja rahe hain
na kali ghaTaen na phulon ka mausam
magar pine wale piye ja rahe hain
teri mahfil-e-naz se uThne wale
nigahon mein tujh ko liye ja rahe hain
mere shauq-e-didar ka haal sun kar
qayamat ke wade kiye ja rahe hain
harim-e-tajalli mein zauq-e-nazar hai
nigahon se sajde kiye ja rahe hain
abhi hai asiri ka aaghaz 'mahir'
abhi to faqat par siye ja rahe hain
(547) Peoples Rate This