Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a43d31ce5fa1759ff8ae5d7aa7415e63, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Nafas Mein Dil Ki Betabi BaDhate Jaiye - Mahirul Qadri Poetry In English - Darsaal

Har Nafas Mein Dil Ki Betabi BaDhate Jaiye

har nafas mein dil ki betabi baDhate jaiye

dur rah kar bhi mere nazdik aate jaiye

ek zara tham tham ke ye parde uThate jaiye

dekhne walon ki nazren aazmate jaiye

mere is zulmat-kade ko jagmagate jaiye

ho sake to meri KHatir muskuraate jaiye

phir isi andaz se nazren milate jaiye

dekhne walon ki nazren aazmate jaiye

ya koi taskin ki surat batate jaiye

ya phir apni yaad se ghafil banate jaiye

rafta rafta KHud ko diwana banate jaiye

husn ki dilchaspiyon ke kaam aate jaiye

aql kahti hai dobara aazmana jahl hai

dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye

kufr o iman ke siwa bhi kuchh manazir aur hain

un ke har andaz par iman late jaiye

aa hi jaega koi qismat ka mara qais bhi

har taraf umm-e-ruKH-e-laila bichhate jaiye

main ne kuchh fitrat hi pai hai ajab mushkil-pasand

meri har mushkil ko mushkil-tar banate jaiye

yaad hai 'mahir' mujhe un ka wo kahna yaad hai

aaj to bas raat bhar ghazlen sunate jaiye

(473) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Nafas Mein Dil Ki Betabi BaDhate Jaiye In English By Famous Poet Mahirul Qadri. Har Nafas Mein Dil Ki Betabi BaDhate Jaiye is written by Mahirul Qadri. Read famous Poem Har Nafas Mein Dil Ki Betabi BaDhate Jaiye for youth and Student by Mahirul Qadri. Free Download Har Nafas Mein Dil Ki Betabi BaDhate Jaiye in PDF.