Fursat-e-aghi Bhi Di Lazzat-e-be-KHudi Bhi Di
fursat-e-aghi bhi di lazzat-e-be-KHudi bhi di
maut ke sath sath hi aap ne aagahi bhi di
soz-e-darun ata kiya jurat-e-ashiqi bhi di
un ki nigah-e-naz ne gham hi nahin KHushi bhi di
us ne niyaz-o-naz ke sare waraq ulaT diye
dast-e-KHalil bhi diya sanat-e-azri bhi di
phir bhi meri nigah mein donon jahan siyah the
meri shab-e-firaq ko chand ne raushni bhi di
aap ne ek nigah mein sab ko nihaal kar diya
phul ko muskurahaTen mauj ko bekali bhi di
chhin lo mujh se dosto taqat-e-arz-e-muddaa
us ne mizaj-e-yar ko dawat-e-barhami bhi di
dam-e-tayyunat mein dida o dil ulajh gae
soz-e-yaqin ke sath sath lazzat-e-kafri bhi di
mahir'-e-dil-fagar par aap ki ye nawazishen
fitrat-e-ashiqi bhi di daulat-e-shairi bhi di
(531) Peoples Rate This