Ai Nigah-e-dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya
ai nigah-e-dost ye kya ho gaya kya kar diya
pahle pahle raushni di phir andhera kar diya
aadmi ko dard-e-dil ki qadr karni chahiye
zindagi ki talKHiyon mein lutf paida kar diya
us nigah-e-shauq ki tira-afagni rakkhi rahi
main ne pahle us ko majruh-e-tamasha kar diya
un ki mahfil ke tasawwur ne phir un ki yaad ne
mere gham-KHana ki raunaq ko do-baala kar diya
mai-kade ki sham aur kanpte hathon mein jam
tishnagi ki KHair ho ye kis ko ruswa kar diya
(481) Peoples Rate This