Laeq-e-dastar AaKHir Koi Sar Hona Hi Tha
laeq-e-dastar aaKHir koi sar hona hi tha
ek na ek din to ye qissa muKHtasar hona hi tha
dekh kar ashk-e-nadamat aa gaya rahmat ko josh
ab to meri har KHata ko dar-guzar hona hi tha
chashm pur-nam thi na mere honTon par shikwa-gila
mere gham se har kisi ko be-KHabar hona hi tha
inqilab-e-waqt ka parcham tha mere hath mein
zinat-e-dar-o-rasan to mera sar hona hi tha
dastan meri zaban se sun rahe the apni log
mera har hamla yaqinan kargar hona hi tha
apni be-nuri pe nargis kab talak roti bhala
ik-na-ik din to chaman mein dida war hona hi tha
sohbat-e-ahl-e-hunar mein umr guzri hai tamam
fikr-e-'mahir' ko kabhi to mo'atabar hona hi tha
(437) Peoples Rate This