Wahshat Ke Sau Rang Dikhane Wala Main
wahshat ke sau rang dikhane wala main
KHud apni zanjir banane wala main
rose kuan khodun to pyas bujhaun rose
dariyaon se pyas bujhane wala main
mazi ke be-barg shajar par baiTha hun
mustaqbil ke git sunane wala main
kaise mumkin hai apnon par war karun
dushman ki choTen sahlane wala main
andar andar dard ki lahren upar se
har dam hansne aur hansane wala main
baghon ko viran banane wale log
sahraon mein phul khane wala main
sadiyon se masmum hawa ki zad par hun
ummidon ki fazl ugane wala main
dekho kab tak panw jamae rahta hun
unchi lahron se Takrane wala main
(417) Peoples Rate This