Sarab Dekhta Hun Main Ki Aab Dekhta Hun Main
sarab dekhta hun main ki aab dekhta hun main
samajh mein jo na aa sake wo KHwab dekhta hun main
lahun mein tairti hai koi shai teri umid si
uga hua shafaq mein aaftab dekhta hun main
meri nazar ke samne hai aaina rakkha hua
teri nazar ka husn-e-intiKHab dekhta hun main
ye kis maqam par hai aaj raKHsh-e-fikr-o-agahi
ki jibrail ko bhi ham-rikab dekhta hun main
ye koi nazr to nahin nigah dil nawaz ki
khila hua jo dil mein ek gulab dekhta hun main
kisi ka daman-e-talab kushada is qadar nahin
teri ata ko be-had-o-hisab dekhta hun main
samajh sakega kaun ai KHuda teri kitab ko
badal gaya hai sab ka sab nisab dekhta hun main
abhi to sun raha hun main gaDhi hui kahaniyan
khulega kab haqiqaton ka bab dekhta hun main
dil-o-nazar ki raushni hai jis ke harf harf mein
rakhi hui wo taq par kitab dekhta hun main
jo khelne mein tez tha nawab ho gaya hai wo
paDhe likhe ko KHasta-o-KHarab dekhta hun main
wo hoshiyar aadmi ki jagta hai raat din
kabhi kabhi use bhi mast-e-KHwab dekhta hun main
jo 'mahir'-e-alam-zada ke lab pe aa gai hansi
tu kha raha hai koi pech-o-tab dekhta hun main
(433) Peoples Rate This