Nai Tahzib Se Bachchon Ko Bachaun Kaise
nai tahzib se bachchon ko bachaun kaise
KHud to bigDa hun zamane ko banaun kaise
wo na dekhe meri jaanib to nahin us ki KHata
main andhere mein paDa hun nazar aaun kaise
mere aangan mein to aai hi nahin mauj-e-bahaar
koi phulon se bhara git sunaun kaise
chahta to hun ki dekhun pas-e-parda kya hai
dastaras jis pe na ho us ko uThaun kaise
par nikalte hi koi us ko katar deta hai
apne bachchon ko fazaon mein uDaun kaise
waqt mahdud diya kaam diya la-mahdud
zindagi bol tera qarz chukaun kaise
jism par choT lagi ho to dikhaun 'mahir'
dil pe jo choT lagi hai wo dikhaun kaise
(395) Peoples Rate This