Fareb Shab Ka Giraftar Rahun Bachao Mujhe
fareb shab ka giraftar rahun bachao mujhe
jala ke shama koi rasta dikhao mujhe
zaban-e-haal se kahti hai yaad mazi ki
tumhaari rah ki diwar hun girao mujhe
kahan hun dasht-e-talab mein mujhe pata to chale
mera bhi nam pukaro koi bulao mujhe
main nam zamin ka pauda hun sukh jaunga
sulagti dhup ke sahra mein mat lagao mujhe
koi mata-e-hunar dast-e-be-hunar ke liye
kahaniyan na karamat ki sunao mujhe
biTha ke niche ghaTate ho kyun mujhe har bar
bhale ko apne kabhi dahine biThao mujhe
mere suluk ki surat badal nahin sakti
hazar zulm-o-sitam kar ke aazmao mujhe
ye be-ruKHi ye taghaful kahan talak pyare
tumhaare kaam hi aaunga mat ganwao mujhe
nigal na jae kahin mujh ko dasht-e-KHamoshi
akela chhoD ke jao na ai sadao mujhe
mujhe bhi shauq hai paDhne ka ye kitab-e-ghazal
kahin se muft mein hath aae to batao mujhe
(471) Peoples Rate This