Ajnabi Musafir Ko Rasta Dikhaega
ajnabi musafir ko rasta dikhaega
kaun apni chaukhaT par ab diya jalaega
jitni neamaten hongi KHub DaT ke khaega
phir hamein qanaat ka wo sabaq paDhaega
pahle aane wale hi luT le gae sab mal
baad mein jo aaega KHali hath jaega
peT hai agar KHali phir kahan ki KHuddari
bhuk jab sataegi KHud ko bech khaega
sab ki apni rahen hain sab ki apni samten hain
kaun aise aalam mein karwan banega
jis ki umr guzri ho reshmi shabistan mein
kya wo hanpte din ki dastan sunaega
aaina sifat logo yun raho na parde mein
warna kaun duniya ko aaina dikhaega
hum jo mil ke aapas mein raushni luTaenge
main bhi jagmagaunga tu bhi jagmagaega
phir wo dega KHush-KHabari hum ko par utarne ki
phir nadi mein kaghaz ki naw wo bahaega
meri jaD bhi kaTega waqt par pas-e-parda
wo meri himayat mein hath bhi uThaega
mahfilen faqiron ki boriye pe sajti hain
bargah-e-shahi ko kaun munh lagaega
afsaron ke KHadim sab juT gae safai mein
'mahir' apni basti mein aaj kaun aaega
(491) Peoples Rate This