Ajib Daur Hai Ahl-e-hunar Nahin Aate
ajib daur hai ahl-e-hunar nahin aate
pidar ka ilm liye ab pisar nahin aate
hawa ke jhonke bhi le kar KHabar nahin aate
jo ghar se jate hain phir lauT kar nahin aate
hazar shaKH-e-tamanna ki dekh-bhaal karo
ye shaKH wo hai ki jis par samar nahin aate
samajh sakenge na meri guzar-basar ko huzur
sunahre taKHt se jab tak utar nahin aate
hum un ki samt chalen kis tarah se milon-mil
hamari samt jo baalisht-bhar nahin aate
janab-e-shaiKH ke hujre se dur hi rahiye
farishte aate hain is mein bashar nahin aate
sawal hi na tha dushman ki fath-yabi ka
hamari saf mein munafiq agar nahin aate
na jaane kis ki nazar lag gai zamane ko
ki phul chehre shagufta nazar nahin aate
wo din gae ki koi KHwab hum ko taDpae
ab aise KHwab hamein raat-bhar nahin aate
hum un ki rah mein aankhen bichhaen kyun 'mahir'
jo aasman se sar-e-rah-guzar nahin aate
(484) Peoples Rate This