Dar Aap Ka Hum ChhoD Ke Ab Jaen Kahan Aur
dar aap ka hum chhoD ke ab jaen kahan aur
hai tark-e-talluq mein KHud apna hi ziyan aur
aasan uThana na tha kuchh bar-e-KHilafat
juz mere uThata bhi koi bar-e-garan aur
dil hai ki koi chaub-e-tar-o-taza-o-shadab
jab aag sulagti hai to uThta hai dhuan aur
hai fasl-e-bahaaran mein chaman shoala-ba-daman
ab dekhiye kya hota hai andaz-e-KHizan aur
aazadi-e-guftar-o-KHayalat ka izhaar
barbaadi ke ab is se bhi baDh ke hain nishan aur
jab shisha-e-dil par mere zangar hai aata
kya kahiye chamakta hai mera dagh-e-nihan aur
main shaKH-e-samar-dar ke manind hun 'mahir'
milta hun kisi se to wo karta hai guman aur
(424) Peoples Rate This