Dagh-e-dil Apna Kisi Tarah Dikhae Na Bane
dagh-e-dil apna kisi tarah dikhae na bane
aur chahun jo chhupana to chhupae na bane
daman-e-dil mein wo jab chahen laga den ek aag
hum agar chahen bujhana to bujhae na bane
tum ko manzur nahin apne taghaful se gurez
hum pe ban aai hai aisi ki banae na bane
uf re ye tira-nasibi ye andhere ka farogh
dip aankhon ka jalaun to jalae na bane
hae ye fitrat-e-husn uf wo mizaj-e-nazuk
naz uThana bhi jo chahun to uThae na bane
soch ke dijiye diwane ko daman ki hawa
ye bhi mumkin hai ki phir hosh mein aae na bane
naz hai taqat-e-guftar pe 'mahir' ko magar
dil pe guzri hai kuchh aisi ki sunae na bane
(404) Peoples Rate This