Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein
aap nur-afshan hain raat ke andhere mein
ya sitare raqsan hain raat ke andhere mein
ek din wo zarron ko aaftab kar lenge
dhup ke jo KHwahan hain raat ke andhere mein
kyun nahin jala lete aansuon ki qindilen
log kyun hirasan hain raat ke andhere mein
KHaufnak aawazen wahshiyon ke hangame
raunaq-e-bayaban hain raat ke andhere mein
raushni to pahunchi hai sirf chand logon tak
ab bhi kitne insan hain raat ke andhere mein
din ki raushni mein jo sab se be-takalluf hai
hum se kyun gurezan hain raat ke andhere mein
tirgi se laDne ka hausla nahin jin mein
an ke jism larzan hain raat ke andhere mein
ujle ujle chehron par aks dilrubai ke
kis qadar numayan hain raat ke andhere mein
DhunDte hain sab apne apne ham-nawaon ko
aaine pareshan hain raat ke andhere mein
kis ke naqsh-ha-e-pa rahnuma hue 'adil'
raste daraKHshan hain raat ke andhere mein
(371) Peoples Rate This