Ye Naqsh Aisa Nahin Hai Jise MiTaun Main
ye naqsh aisa nahin hai jise miTaun main
mujhe bata ki tujhe kaise bhul jaun main
koi lakir hi raushan nahin hatheli par
najumiyon ko bhala hath kya dikhaun main
bujha bujha sa nazar aa raha hai har koi
fasana-e-gham-e-hasti kise sunaun main
yaqin karo ki meri jit phir yaqini hai
magar kaho to ye bazi bhi haar jaun main
nazar ke samne manzil ke raste hain bahut
ye sochta hun qadam kis taraf baDhaun main
ye baat sach hai ki buniyaad hun imarat ki
ye aur baat kisi ko nazar na aaun main
gham-e-zamana se fursat kahan 'asar-sahab'
dua ko hath jo apne liye uThaun main
(486) Peoples Rate This