Taswir-e-zindagi Mein Naya Rang Bhar Gae
taswir-e-zindagi mein naya rang bhar gae
wo hadse jo dil pe hamare guzar gae
duniya se haT ke ek nai duniya bana saken
kuchh ahl-e-arzu isi hasrat mein mar gae
nikla jo qafile se nai justuju liye
kuchh dur sath sath mere rahbar gae
nairangiyan chaman ki pasheman ho gain
ruKH par kisi ke aaj jo gesu bikhar gae
phuTi jo us jabin se inayat ki ek kiran
maghmum aarzuon ke chehre nikhar gae
har shai se be-niyaz rahe jin mein husn o ishq
ai zindagi bata ki wo lamhe kidhar gae
ai 'naqsh' kar raha tha jinhen gharq naKHuda
tufan ke zor se wo safine ubhar gae
(397) Peoples Rate This