TalKHi-e-haalat-e-dauran Ka Bayan Hai Zindagi
talKHi-e-haalat-e-dauran ka bayan hai zindagi
dard-o-gham ki ek musalsal dastan hai zindagi
allah allah ye safar ye rah ye dushwariyan
waqt ke shanon pe ek bar-e-giran hai zindagi
jin ki halchal mein hai tufani hawaon ka KHarosh
un taDapti aarzuon ka jahan hai zindagi
shiddat-e-ehsas-e-nakaami ki aatish-gah se
KHirman-e-jazbaat par shola-fishan hai zindagi
hai kise ab zindagi ke dard-e-pinhan ki KHabar
apni barbaadi ki KHud hi raaz-dan hai zindagi
ye umidon ka chaman hai rashk-e-sad husn-e-chaman
is chaman ki ek bahaar-e-jawedan hai zindagi
hai usi ke nur se tabani-e-kaun-o-makan
zulmat-e-bazm-e-jahan mein zau-fishan hai zindagi
us ki marzi par hai har qaid o rihai munhasir
KHud qafas hai aur KHud hi aashiyan hai zindagi
'naqsh' dard-e-qaum hai qalb o jigar mein shola-zan
jazba-e-ahl-e-watan ki tarjuman hai zindagi
(467) Peoples Rate This