Nur-o-nikhat Ki Ye Barsat Kahan Thi Pahle
nur-o-nikhat ki ye barsat kahan thi pahle
zindagi itni hasin raat kahan thi pahle
ab to palkon pe sitare se laraz uThte hain
gham-e-mahbub ki ye baat kahan thi pahle
teri yaadon se farozan hain fazaen jin ki
aisi raaton se mulaqat kahan thi pahle
un ki badmast nigahon ka karam hai ai dil
zindagi bazm-e-KHarabaat kahan thi pahle
kaif ye dard-e-mohabbat ne kiya hai paida
ye dil-awezi-e-naghmat kahan thi pahle
aaj yun dil ke taDapne ka bharam TuTa hai
hasrat-e-ltuf-o-inayat kahan thi pahle
'naqsh' un shoKH nigahon ka fusun hai warna
dil mein ye shorish-e-jazbaat kahan thi pahle
(442) Peoples Rate This