Lau De UTha Charagh-e-tamanna Bujha Hua
lau de uTha charagh-e-tamanna bujha hua
guzra ye aaj kaun idhar dekhta hua
ye hadsat bhi to guzarne zarur the
ai ishq kyun udas hai jo kuchh hua hua
wo rang kya hue wo bahaaren kidhar gain
ai ham-safir sara chaman hai luTa hua
yun aaj be-qarar hai duniya-e-arzu
jis tarah tilmilae koi dil dukha hua
kyun aaj bazm-e-zist mein be-kaifiyan si hain
ai husn teri mast-nigahi ko kya hua
girdab-e-gham hai aur meri kashti-e-umid
phir bahr-e-zindagi mein hai tufan uTha hua
apna pata na jada-e-manzil ki kuchh KHabar
KHud miT gaya hun 'naqsh' unhen DhunDhta hua
(358) Peoples Rate This