Hai Aafat-e-jaan Husn Ki ShoKHi Bhi Ada Bhi
hai aafat-e-jaan husn ki shoKHi bhi ada bhi
honTon pe tabassum bhi hai nazron mein haya bhi
shamil teri aawaz mein taron ki nawa bhi
sharminda tere nur se kirnon ki ziya bhi
mahfil hai ki mutrib ke ishaaron pe miTi hai
sunta hai koi saz-e-shikasta ki sada bhi
rakhta hai baghawat ke sharare bhi nazar mein
ye ishq jo hai paikar-e-taslim-o-raza bhi
ruKH pher diya tund hawaon ka kisi ne
haalat se apne koi majbur raha bhi
bach kar hi chale hum to zamane ki rawish se
aazad-rawi ka hamein ehsas hua bhi
akasr lab-e-lalin ke tabassum ki kiran ne
ummid ke KHakon mein naya rang bhara bhi
ai 'naqsh' karen soz-e-tamanna ka bayan kya
sau bar diya dil ka jala bhi hai bujha bhi
(421) Peoples Rate This