Phir Mujhe Hausla-e-arz-o-bayan Mil Jae
phir mujhe hausla-e-arz-o-bayan mil jae
kuchh dinon ke liye mujh ko bhi zaban mil jae
samna hoga to kuchh kah na sakenge us se
jaane us bhiD mein wo shoKH kahan mil jae
ajnabi ganw mein phirta hun ye ummid liye
chhanw darkar hai thoDi si jahan mil jae
kya tamasha hai ki main qasd-e-nasheman le kar
ghar se niklun to mujhe barq-e-tapan mil jae
wahin aa jata hai nakaami-e-qismat ka KHayal
sud ki dil mein tamanna ho ziyan mil jae
kash qasid ko mera haal sunane ke liye
chand lamhon ke liye meri zaban mil jae
mere ashaar hun maqbul-e-zamana 'kausar'
mujh ko aisa kahin andaz-e-bayan mil jae
(401) Peoples Rate This