Dekhta Bhi Hai Dekhta Bhi Nahin
dekhta bhi hai dekhta bhi nahin
jaise wo mujh ko jaanta bhi nahin
kis tarah aaj KHud ko pahchanun
mere ghar mein to aaina bhi nahin
dhak thi sare shahr mein jis ki
ab use koi puchhta bhi nahin
pichhe muDne mein KHauf-e-ruswai
aage jaane ka rasta bhi nahin
rose KHabron mein nam aata hai
shahr mein koi jaanta bhi nahin
ghair se puchhta hai haal mera
main bulaun to bolta bhi nahin
us ko nikla hun DhunDne 'kausar'
jis ka koi ata-pata bhi nahin
(430) Peoples Rate This