Aapas Mein Koi Rabt Ka Imkan Bhi Na Tha
aapas mein koi rabt ka imkan bhi na tha
donon taraf ye marhala aasan bhi na tha
chaaragaron ki pursish-e-paiham ke bawajud
main mutmain na tha to pareshan bhi na tha
pahlu badal badal ke wo karta tha guftugu
main sab samajh raha tha ki anjaan bhi na tha
baat us ki dil mein mere utarti chali gai
wo ajnabi tha aur mera mehman bhi na tha
kyun mujh ko mezbani ka mauqa na mil saka
main is qadar to be-sar-o-saman bhi na tha
wo kitna sard-mehr tha malum ho gaya
wada-KHilaf ho ke pasheman bhi na tha
'kausar' amir-e-shahr se milne mein uzr kyun
kuchh faeda nahin tha to nuqsan bhi na tha
(372) Peoples Rate This