Zaban Ka Pas Hai To Qaul Sab Nibhane Hain
zaban ka pas hai to qaul sab nibhane hain
agar mukarne pe aaun to sau bahane hain
tir-e-nigah ke raste sabhi nae hain magar
hamare taur-tariqe sabhi parae hain
na ras aai hamein aap ki ada koi
sitam hai us pe ki hum aap ke diwane hain
ye kya ki hausla tum ne abhi se haar diya
abhi to waqt ne kuchh aur gul khilane hain
siyah-raat ki tarikiyan baja lekin
naweli subh ke manzar ajab suhane hain
har ek samt balaon ka ek hujum sa hai
tamam hausle ab dil ko aazmane hain
naya to kuchh bhi nahin teri dastan mein 'chand'
wahi hain dard ke qisse wahi fasane hain
(387) Peoples Rate This