Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai
ranjishon ne jazba-e-iKHlas garmaya bhi hai
dosti mein hum ne kuchh khoya hai kuchh paya bhi hai
ek zara si baat par kyun kar talluq toD dun
wo purana yar bhi hai mera ham-saya bhi hai
is taraf dekha to hai be-shak hiqarat se sahi
shukr hai itna karam to is ne farmaya bhi hai
yun to kuchh qimat nahin jins-e-wafa ki han magar
jis qadar arzan hai ye itni garan-maya bhi hai
sair phir bhi ho nahin paya dil-e-iza-talab
waqt ne ji bhar ke go us par sitam Dhaya bhi hai
hijr ki shab aur yaadon ki surur-agin phuwar
kuchh to dil ki be-qarari ko qarar aaya bhi hai
lakh maujon ki bala-KHezi ne ki khilwaD bhi
us ne kashti ko magar sahil pe pahunchaya bhi hai
phir bhi yarab kya milega hasidon ke shahr mein
taj to shohrat ka tu ne mujh ko pahnaya bhi hai
kyun na 'chand' apni ana ko jaan se rakhun aziz
ye mera iman bhi hai mera sarmaya bhi hai
(469) Peoples Rate This