Maine Kab Apni Wafaon Ka Sila Manga Tha
main ne kab apni wafaon ka sila manga tha
ek tabassum hi tera bahr-e-KHuda manga tha
kya KHabar thi ki meri nind hi ujaD jaengi
main ne khoe hue KHwabon ka pata manga tha
dast-e-gul-chin ne bhi gulshan se wahi phul chuna
main ne jis gul ke liye dast-e-saba manga tha
shiddat-e-gham mein dua ki thi tujhe bhulne ki
ab bhare zaKHm to nadim hun ye kya manga tha
bas isi baat pe barham hai zamana mujh se
apne bad-KHwahon ka bhi main ne bhala manga tha
ek guzarish bhi na ho pai qubul us ke huzur
ghaaliban main ne hi kuchh had se siwa manga tha
chuDiyan TuTin to zaKHmon se lahu rang hui
jis hatheli ne zara rang-e-hina manga tha
tu ne har gham se nawaza hai tera KHas karam
mujh ko to ye bhi nahin yaad ki kya manga tha
aafaten sahne ka yara bhi to deta yar ab
aur to kuchh bhi nahin us ke siwa manga tha
ye alag baat mila karb-e-musalsal warna
hum ne jo manga wo ba-sidq-o-safa manga tha
zehn par 'chand' phir ek barq si lahrane lagi
dil ne mazi ke nihan-KHanon se kya manga tha
(431) Peoples Rate This