Hamare Shahr-e-adab Mein Chali Hawa Kya Hai
hamare shahr-e-adab mein chali hawa kya hai
ye kaisa daur hai yarab hamein hua kya hai
usi ne aag lagai hai sari basti mein
wahi ye puchh raha hai ki majra kya hai
ye tera zarf ki tu phir bhi bad-guman na hua
siwae dard ke main ne tujhe diya kya hai
lapak ke chhin le haq apna kam-sawadon se
baDha ke hath uTha jam dekhta kya hai
bhula diya hai jo tum ne to koi baat nahin
magar main jaanta aaKHir meri KHata kya hai
ajib shaKHs hai kirdar mangta hai mera
siwae is ke mere pas ab bacha kya hai
kured kar mere zaKHmon ko yun sawal na kar
tujhe KHabar hai to phir mujh se puchhta kya hai
mata-e-gham ko bacha rakh chhupa ke sine mein
tu is KHazane ko auron mein banTta kya hai
hazar neamaten us ne tujhe ata ki hain
ab aur 'chand' tu is dar se mangta kya hai
(366) Peoples Rate This