Fareb-e-nau Ke Bhanwar Mein Utarta Hai Mujhe
fareb-e-nau ke bhanwar mein utarta hai mujhe
ye kaun pichhle pahar phir pukarta hai mujhe
shikasta-haal hun ranj-o-alam se chur hun main
nigah-e-lutf se ab kya sanwarta hai mujhe
nazar ye apni chaDhata hun jis qadar us ko
usi qadar wo nazar se utarta hai mujhe
main kab ka Dub chuka hun use KHabar hi nahin
jo sahilon se abhi tak pukarta hai mujhe
usi ki yaad hai meri hayat ka hasil
jo be-niyaz taghaful se marta hai mujhe
main sulh-o-amn ka shaidai hun mere rahbar
fasad-o-fitna pe tu kyun ubhaarta hai mujhe
mila hai muddaton ke baad kuchh gharaz hogi
kis inkisar se dekho nihaarta hai mujhe
use main KHas karam mein shumar karta hun
jo tu marahil-e-gham se guzarta hai mujhe
wo chahta hai guhar-yab ho ke ubhrun main
samundaron ki jo tah tak utarta hai mujhe
punam ki raat ka ye faiz nur-afshan 'chand'
kisi hasin KHata par ubhaarta hai mujhe
(398) Peoples Rate This