Dho Gai Chehron Se Gard Yas Ka Ghaza Hawa
dho gai chehron se gard yas ka ghaza hawa
kar gai afsurda ruhon ko tar-o-taza hawa
lakh baiThun chhup kar apne band kamron mein magar
toD kar aa jaegi ek ek darwaza hawa
subh aanchal ki hawa de kar khilati hai jise
shab ko bikhraati hai KHud us gil ka shiraaza hawa
bhar chale the zaKHm jo phir se lage munh kholne
kuchh purane dard le kar aai hai taza hawa
ji tarasta hai phir un lamhon ko jab yakja the sab
raqs-e-mai bu-e-saman rang-e-shafaq taza hawa
hum to apni KHana-virani ka matam kar chuke
dekh kar ja kar ab tu koi aur darwaza hawa
wo latafat wo mahak kyun 'chand' yaksar kho gai
bhar rahi hai kin KHataon ka ye KHamyaza hawa
(449) Peoples Rate This