Ashaar Ki TaKHliq Mein Jalta Hai Jigar Kyun
ashaar ki taKHliq mein jalta hai jigar kyun
yarab mujhe baKHsha hai ye jaan-soz hunar kyun
gham ishq ki saughat hai sine se laga le
phulon ki tamanna hai to kanTon se hazar kyun
kuchh had se siwa hain mere gham-KHwar wagarna
rahti hai mere haal pe yaron ki nazar kyun
kal jis ko sar aankhon par biThata tha zamana
baiTha hai sar-e-rah wo ab KHak-basar kyun
aariz ke gulabon pe udasi ki ye shabnam
namnak hain aankhen teri aaj ai gul-e-tar kyun
phir kaun gaya pichhle pahar bazm se uTh kar
phir sog ka aalam hai ye hangam-e-sahar kyun
patthar ke siwa 'chand' yahan kuchh na milega
baiTha hai sajae hue shishon ka tu ghar kyun
(394) Peoples Rate This