Wahi Udas Si Aankhen Udas Chehra Hai
wahi udas si aankhen udas chehra hai
ye lag raha hai ki pahle bhi tujh ko dekha hai
main chahta hun ki teri taraf na dekhun main
meri nazar ko magar tu ne bandh rakkha hai
chhupa ke rakhta hun main KHud ko har tarah lekin
ye aaina mujhe hairat mein Dal deta hai
tumhaari baat pe kis ko yaqin aaega
kisi se tum na ye kahna KHuda ko dekha hai
hazaron manzilen sar kar chuka hun main lekin
ye KHud se KHud ka safar to bahut ajab sa hai
tera wajud tere raste mein hail hai
yahin se ho ke mera qafila guzarta hai
main din ko shab se bhala kyun alag karun sani
ye tirgi bhi to ek raushni ka hissa hai
(1766) Peoples Rate This