Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dd332dcfd8e3636dd565f7dbd3c68b09, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Use Humne Kabhi Dekha Nahin Hai - Mahender Kumar Sani Poetry In English - Darsaal

Use Humne Kabhi Dekha Nahin Hai

use hum ne kabhi dekha nahin hai

wo hum se dur hai aisa nahin hai

yaqinan sochta hoga wo mujh ko

use main ne abhi socha nahin hai

jidhar jata hun duniya Tokti hai

idhar ka rasta tera nahin hai

safar aazad hone ke liye hai

mujhe manzil ka kuchh dhoka nahin hai

main apni yatra par ja raha hun

mujhe ab lauT kar aana nahin hai

hue aazad jab jaana ye 'sani'

mafar ka koi bhi rasta nahin hai

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Use Humne Kabhi Dekha Nahin Hai In English By Famous Poet Mahender Kumar Sani. Use Humne Kabhi Dekha Nahin Hai is written by Mahender Kumar Sani. Read famous Poem Use Humne Kabhi Dekha Nahin Hai for youth and Student by Mahender Kumar Sani. Free Download Use Humne Kabhi Dekha Nahin Hai in PDF.